rafta rafta wo meri hasti ka saman ho gae
rafta rafta vo mirī hastī kā sāmāñ ho ga.e
pahle jaañ phir jān-e-jāñ phir jān-e-jānāñ ho ga.e
din-ba-din baḌhtī ga.iiñ us husn kī ra.anā.iyāñ
pahle gul phir gul-badan phir gul-badāmāñ ho ga.e
aap to nazdīk se nazdīk-tar aate ga.e
pahle dil phir dil-rubā phir dil ke mehmāñ ho ga.e
pyaar jab had se baḌhā saare takalluf miT ga.e
aap se phir tum hue phir tū kā unvāñ ho ga.e
rafta rafta wo meri hasti ka saman ho gae
pahle jaan phir jaan-e-jaan phir jaan-e-jaanan ho gae
din-ba-din baDhti gain us husn ki ranaiyan
pahle gul phir gul-badan phir gul-badaman ho gae
aap to nazdik se nazdik-tar aate gae
pahle dil phir dil-ruba phir dil ke mehman ho gae
pyar jab had se baDha sare takalluf miT gae
aap se phir tum hue phir tu ka unwan ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.