rafu-e-daman-e-sad-tar-tar rahne de
rafū-e-dāman-e-sad-tār-tār rahne de
jo rah ga.ī hai vahī yādgār rahne de
vafā nahīñ na sahī rishta-e-jafā hī sahī
vo rābta to koī barqarār rahne de
vo baat kar ki jo mere liye 'ajīb na ho
maiñ aur tujh ko mirā intizār rahne de
hamārā haal sar-e-rāh pūchhne vaale
ye iltifāt sar-e-rahguzār rahne de
mirī shikast-e-anā kā ḳhayāl kar zālim
bharam kuchh ai dil-e-be-iḳhtiyār rahne de
ye dil hī 'bazm' abhī lā.iq-e-murād nahīñ
abhī kuchh aur ise be-qarār rahne de
rafu-e-daman-e-sad-tar-tar rahne de
jo rah gai hai wahi yaadgar rahne de
wafa nahin na sahi rishta-e-jafa hi sahi
wo rabta to koi barqarar rahne de
wo baat kar ki jo mere liye 'ajib na ho
main aur tujh ko mera intizar rahne de
hamara haal sar-e-rah puchhne wale
ye iltifat sar-e-rahguzar rahne de
meri shikast-e-ana ka KHayal kar zalim
bharam kuchh ai dil-e-be-iKHtiyar rahne de
ye dil hi 'bazm' abhi laiq-e-murad nahin
abhi kuchh aur ise be-qarar rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.