raghupati rāghav raajā raam
patit pāvan siitā raam
tulsī kī rāmāyan ke
raam kī liilā vaale raam
bachpan meñ the dost mire
aur laḌakpan meñ ham-jām
qasbe qasbe nagar nagar
jahāñ bhī le pahuñche ayyām
naam tumhārā chaltā thā
ban jaate the bigḌe kaam
des to kyā pardes meñ bhī
hamrāhī the tum har gaam
mile jakārtā meñ bhī tum
liilā meñ ban kar islām
desh jo lauTā phir na mile
DhūñDā tum ko har ik dhaam
pata chalā kī qaid ho tum
chāroñ taraf tirshūl kā daam
rath-yātrā meñ maare ga.e
raam kī liilā vaale raam
aur december chhe ke ba.ad
jis jā dekho qatl-e-ām
raghupati rāghav raajā raam patit pāvan siitā raam
raghupati raghaw raja ram
patit pawan sita ram
tulsi ki ramayan ke
ram ki lila wale ram
bachpan mein the dost mere
aur laDakpan mein ham-jam
qasbe qasbe nagar nagar
jahan bhi le pahunche ayyam
nam tumhaara chalta tha
ban jate the bigDe kaam
des to kya pardes mein bhi
hamrahi the tum har gam
mile jakarta mein bhi tum
lila mein ban kar islam
desh jo lauTa phir na mile
DhunDa tum ko har ek dham
pata chala ki qaid ho tum
chaaron taraf tirshul ka dam
rath-yatra mein mare gae
ram ki lila wale ram
aur december chhe ke baad
jis ja dekho qatl-e-am
raghupati raghaw raja ram patit pawan sita ram
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.