ragon mein meri shararon ka raqs jari hai
ragoñ meñ merī sharāroñ kā raqs jaarī hai
junūñ hai ranj hai ġham hai ki be-qarārī hai
dil-e-asīr ke zaḳhmoñ meñ kyā nahīñ maujūd
vafā hai ishq hai vahshat hai jāñ-nisārī hai
laboñ pe dasht hai āñkhoñ meñ ḳhuun ke dhabbe
samundaroñ se magar apnī rū-bakārī hai
adā-e-nāz se kartā hai zulm vo mujh par
use na ḳhauf-e-ḳhudā hai na sharmsārī hai
havā meñ ghultī huī ḳhushbuoñ ne farmāyā
gurez tum se nahīñ jag se parda-dārī hai
jise gale se lagāyā banā diyā sūraj
bulandiyoñ se kahīñ baḌh ke ḳhāksārī hai
thirak rahe haiñ muñDeroñ pe mor ḳhvāhish ke
vo jab se aaya hai dil meñ surūr taarī hai
tumhāre chehre se bahtā hai nuur kā jharnā
tumhārī zulfoñ se aalam meñ ābiyārī hai
falak se hotī hai nāzil duāoñ kī tanvīr
ibādatoñ se mirā rang-e-āh-o-zārī hai
qarīb aa ke kabhī dekho merī tanhā.ī
is intizār ke dāman meñ kyā ḳhumārī hai
parinde shāḳh se ik ek kar ke uḌte ga.e
hamīñ bache haiñ hamārī bhī ab ke baarī hai
badan to sūrat-e-dīvār ishtihār huā
zabāñ pe ishq ke chhāloñ kī lāla-kārī hai
Dhalī hai shaam bujhāne meñ aag sūraj kī
charāġh-e-dard jalāne meñ shab guzārī hai
hamāre ḳhvāb bhaTakte haiñ dasht-o-sahrā meñ
kise batā.eñ ki kyā aarzū hamārī hai
'nadīm' donoñ jahāñ us kī dostī pe nisār
usī se ranj usī se hī ġham-gusārī hai
ragon mein meri shararon ka raqs jari hai
junun hai ranj hai gham hai ki be-qarari hai
dil-e-asir ke zaKHmon mein kya nahin maujud
wafa hai ishq hai wahshat hai jaan-nisari hai
labon pe dasht hai aankhon mein KHun ke dhabbe
samundaron se magar apni ru-bakari hai
ada-e-naz se karta hai zulm wo mujh par
use na KHauf-e-KHuda hai na sharmsari hai
hawa mein ghulti hui KHushbuon ne farmaya
gurez tum se nahin jag se parda-dari hai
jise gale se lagaya bana diya suraj
bulandiyon se kahin baDh ke KHaksari hai
thirak rahe hain munDeron pe mor KHwahish ke
wo jab se aaya hai dil mein surur tari hai
tumhaare chehre se bahta hai nur ka jharna
tumhaari zulfon se aalam mein aabiyari hai
falak se hoti hai nazil duaon ki tanwir
ibaadaton se mera rang-e-ah-o-zari hai
qarib aa ke kabhi dekho meri tanhai
is intizar ke daman mein kya KHumari hai
parinde shaKH se ek ek kar ke uDte gae
hamin bache hain hamari bhi ab ke bari hai
badan to surat-e-diwar ishtihaar hua
zaban pe ishq ke chhaalon ki lala-kari hai
Dhali hai sham bujhane mein aag suraj ki
charagh-e-dard jalane mein shab guzari hai
hamare KHwab bhaTakte hain dasht-o-sahra mein
kise bataen ki kya aarzu hamari hai
'nadim' donon jahan us ki dosti pe nisar
usi se ranj usi se hi gham-gusari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.