rah-e-guman se ajab karwan guzarte hain
rah-e-gumāñ se ajab kārvāñ guzarte haiñ
mirī zamīñ se ka.ī āsmāñ guzarte haiñ
jo raat hotī hai kaisī mahaktī haiñ galiyāñ
jo din nikaltā hai kyā kyā butāñ guzarte haiñ
kabhī jo vaqt zamāne ko detā hai gardish
mire makāñ se bhī kuchh lā-makāñ guzarte haiñ
kabhī jo dekhte haiñ muskurā ke aap idhar
dil-o-nigāh meñ kyā kyā gumāñ guzarte haiñ
rah-e-guman se ajab karwan guzarte hain
meri zamin se kai aasman guzarte hain
jo raat hoti hai kaisi mahakti hain galiyan
jo din nikalta hai kya kya butan guzarte hain
kabhi jo waqt zamane ko deta hai gardish
mere makan se bhi kuchh la-makan guzarte hain
kabhi jo dekhte hain muskura ke aap idhar
dil-o-nigah mein kya kya guman guzarte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.