rah-e-hasti mein koi rahnuma hona zaruri hai
rah-e-hastī meñ koī rahnumā honā zarūrī hai
safar kashtī kā ho to nāḳhudā honā zarūrī hai
tirī āñkhoñ meñ kuchh sharm-o-hayā honā zarūrī hai
darīda hī sahī sar par ridā honā zarūrī hai
jo nafrat ho to lāzim hai zabāñ par mohr-e-ḳhāmoshī
mohabbat hai to phir shikva-gila honā zarūrī hai
unhoñ ne jo bhī farmāyā thā vo sab ho chukā lekin
ḳhudā jaane jahāñ meñ aur kyā honā zarūrī hai
kahā rab ne nishāñ farsh-e-zamīñ par chhoḌne vaale
qarīb-e-arsh terā naqsh-e-pā honā zarūrī hai
milegī bil-yaqīñ tum ko baqā kī kāmrāñ manzil
kisī ke ishq meñ lekin fanā honā zarūrī hai
sipar bhī teġh bhī tan par zira-baktar sahī 'anvar'
barā.e jang dil meñ hausla honā zarūrī hai
rah-e-hasti mein koi rahnuma hona zaruri hai
safar kashti ka ho to naKHuda hona zaruri hai
teri aankhon mein kuchh sharm-o-haya hona zaruri hai
darida hi sahi sar par rida hona zaruri hai
jo nafrat ho to lazim hai zaban par mohr-e-KHamoshi
mohabbat hai to phir shikwa-gila hona zaruri hai
unhon ne jo bhi farmaya tha wo sab ho chuka lekin
KHuda jaane jahan mein aur kya hona zaruri hai
kaha rab ne nishan farsh-e-zamin par chhoDne wale
qarib-e-arsh tera naqsh-e-pa hona zaruri hai
milegi bil-yaqin tum ko baqa ki kaamran manzil
kisi ke ishq mein lekin fana hona zaruri hai
sipar bhi tegh bhi tan par zira-baktar sahi 'anwar'
barae jang dil mein hausla hona zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.