rah-e-hayat ki khoi hui sada ban jae
rah-e-hayāt kī khoī huī sadā ban jaa.e
hujūm-e-ġham meñ koī ho jo aasrā ban jaa.e
ye kārvān-e-mohabbat hai ai ḳhirad-mando
samundaroñ se bhī guzre to rāsta ban jaa.e
zabāñ pe zikr usī kā ho roz-o-shab kyūñ-kar
na chāhiye use itnā ki vo ḳhudā ban jaa.e
ulajh ke rah sā gayā huuñ tire ḳhayāloñ meñ
ki ik ḳhayāl miTā.ūñ to dūsrā ban jaa.e
phir us ke ba.ad hunar terā mo'atabar hogā
tarāsh sang kuchh aise ki aa.ina ban jaa.e
hazar ki ashk na chhalke nigāh se 'anvar'
ruḳh-e-sitam na kahīñ dard-āshnā ban jaa.e
rah-e-hayat ki khoi hui sada ban jae
hujum-e-gham mein koi ho jo aasra ban jae
ye karwan-e-mohabbat hai ai KHirad-mando
samundaron se bhi guzre to rasta ban jae
zaban pe zikr usi ka ho roz-o-shab kyun-kar
na chahiye use itna ki wo KHuda ban jae
ulajh ke rah sa gaya hun tere KHayalon mein
ki ek KHayal miTaun to dusra ban jae
phir us ke baad hunar tera mo'atabar hoga
tarash sang kuchh aise ki aaina ban jae
hazar ki ashk na chhalke nigah se 'anwar'
ruKH-e-sitam na kahin dard-ashna ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.