rah-e-hayat ko aasan bana sako to chalo
rah-e-hayāt ko āsāñ banā sako to chalo
hamārā saath agar tum nibhā sako to chalo
nigāh-e-nāz kā jaadū jagā sako to chalo
qadam qadam pe na.e gul khilā sako to chalo
rah-e-vafā meñ ġhamoñ ke bahut añdhere haiñ
har ek haal meñ tum muskurā sako to chalo
mire ḳhayāl kī duniyā hai mujh pe chhā.ī huī
mire ḳhayāl kī duniyā pe chhā sako to chalo
baḌe ḳhulūs se chehre fareb dete haiñ
nigāh ban ke diloñ meñ samā sako to chalo
sajā ke raat ke māthe pe chāñd kā jhūmar
mujhe añdhere meñ rasta dikhā sako to chalo
na.ī hai raah to 'qaisar' na.ī nigāh bhī ho
na.ī hayāt ke naġhme sunā sako to chalo
rah-e-hayat ko aasan bana sako to chalo
hamara sath agar tum nibha sako to chalo
nigah-e-naz ka jadu jaga sako to chalo
qadam qadam pe nae gul khila sako to chalo
rah-e-wafa mein ghamon ke bahut andhere hain
har ek haal mein tum muskura sako to chalo
mere KHayal ki duniya hai mujh pe chhai hui
mere KHayal ki duniya pe chha sako to chalo
baDe KHulus se chehre fareb dete hain
nigah ban ke dilon mein sama sako to chalo
saja ke raat ke mathe pe chand ka jhumar
mujhe andhere mein rasta dikha sako to chalo
nai hai rah to 'qaisar' nai nigah bhi ho
nai hayat ke naghme suna sako to chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.