rah-e-ishq mein kab diya kuchh sunai dikhai
rah-e-ishq meñ kab diyā kuchh sunā.ī dikhā.ī
bahut dostoñ ne bhulā.ī burā.ī dikhā.ī
samajhte haiñ ahl-e-nazar husn kī ye adā.eñ
ghaḌī dekhne ke bahāne kalā.ī dikhā.ī
hamārī tavajjoh bhī us dam zarā munqasim thī
madārī ne kuchh haath kī bhī safā.ī dikhā.ī
dobāra bharosa kiyā āzmā.e hue par
bahut aap ne bhī tabī.at rachā.ī dikhā.ī
ajab kyā jo āshiq ne sar phoḌ kar jaan de dī
ajab kyā jo mahbūb ne bevafā.ī dikhā.ī
rah-e-ishq mein kab diya kuchh sunai dikhai
bahut doston ne bhulai burai dikhai
samajhte hain ahl-e-nazar husn ki ye adaen
ghaDi dekhne ke bahane kalai dikhai
hamari tawajjoh bhi us dam zara munqasim thi
madari ne kuchh hath ki bhi safai dikhai
dobara bharosa kiya aazmae hue par
bahut aap ne bhi tabiat rachai dikhai
ajab kya jo aashiq ne sar phoD kar jaan de di
ajab kya jo mahbub ne bewafai dikhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.