rah-e-ishq mein zindagani luTa di
rah-e-ishq meñ zindagānī luTā dī
milī jāvedānī to faanī luTā dī
vo thī ḳhvāh baaqī ki faanī luTā dī
tire naam par zindagānī luTā dī
mohabbat kī ik nā-murādī kī ḳhātir
zamāne kī har shādmānī luTā dī
dil-e-zār ne tere jalvoñ ke aage
tavānā.ī-o-nā-tavānī luTā dī
ḳhudī jis meñ bastī vo bastī to dil ne
ba-taqrīb-e-yak lan-tarānī luTā dī
batā.ī bahut qadr izzat kī ham ne
magar ek dil ne na maanī luTā dī
mirā jurm kyā hai ki barham haiñ nāseh
luTāne kī shai thī javānī luTā dī
gayā ziist ke saath dāġh-e-alam bhī
ḳhajil huuñ ki un kī nishānī luTā dī
magar hāl-e-dil sher meñ un se kah luuñ
tabī.at kī saarī ravānī luTā dī
ba-farmā.ish-e-yār-e-dam-sāz maiñ ne
'rashīd' aaj jādū-bayānī luTā dī
rah-e-ishq mein zindagani luTa di
mili jawedani to fani luTa di
wo thi KHwah baqi ki fani luTa di
tere nam par zindagani luTa di
mohabbat ki ek na-muradi ki KHatir
zamane ki har shadmani luTa di
dil-e-zar ne tere jalwon ke aage
tawanai-o-na-tawani luTa di
KHudi jis mein basti wo basti to dil ne
ba-taqrib-e-yak lan-tarani luTa di
batai bahut qadr izzat ki hum ne
magar ek dil ne na mani luTa di
mera jurm kya hai ki barham hain naseh
luTane ki shai thi jawani luTa di
gaya zist ke sath dagh-e-alam bhi
KHajil hun ki un ki nishani luTa di
magar haal-e-dil sher mein un se kah lun
tabiat ki sari rawani luTa di
ba-farmaish-e-yar-e-dam-saz main ne
'rashid' aaj jadu-bayani luTa di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.