rah-e-jaanan pe baDhti ja rahi hun
rah-e-jānāñ pe baḌhtī jā rahī huuñ
magar ḳhud se bichhaḌtī jā rahī huuñ
anokhe shahr mujh par vā hue haiñ
kitāb-e-zāt paḌhtī jā rahī huuñ
mire maulā use ābād rakhnā
mirā kyā hai ujaḌtī jā rahī huuñ
mirī nashv-o-numā jis se huī hai
usī jaḌ se ukhaḌtī jā rahī huuñ
huā mā'lūm mujh ko āḳhir-e-shab
ki maiñ be-samt baḌhtī jā rahī huuñ
burā hai vo magar itnā nahīñ hai
yūñhī us se bigaḌtī jā rahī huuñ
kahāñ le jā rahā hai mujh ko 'suġhrā'
muqaddar se jhagaḌtī jā rahī huuñ
rah-e-jaanan pe baDhti ja rahi hun
magar KHud se bichhaDti ja rahi hun
anokhe shahr mujh par wa hue hain
kitab-e-zat paDhti ja rahi hun
mere maula use aabaad rakhna
mera kya hai ujaDti ja rahi hun
meri nashw-o-numa jis se hui hai
usi jaD se ukhaDti ja rahi hun
hua ma'lum mujh ko aaKHir-e-shab
ki main be-samt baDhti ja rahi hun
bura hai wo magar itna nahin hai
yunhi us se bigaDti ja rahi hun
kahan le ja raha hai mujh ko 'sughra'
muqaddar se jhagaDti ja rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.