rah-e-junun mein kabhi kaamyab hum bhi the
rah-e-junūñ meñ kabhī kāmyāb ham bhī the
kabhī havāla-e-dasht-o-sarāb ham bhī the
tirī nigāh ne gauhar banā diyā varna
hisār-e-mauj meñ misl-e-habāb ham bhī the
junūñ ne ham ko bhī baḳhshī thī shān-e-dar-ba-darī
jahān-e-fikr meñ ḳhāna-ḳharāb ham bhī the
hamāre zarf ko rutboñ se tolne vaalo
isī dayār meñ izzat-ma.āb ham bhī the
añdhere ho ga.e mansūb ham se ab varna
is āsmāñ meñ kabhī āftāb ham bhī the
rah-e-junun mein kabhi kaamyab hum bhi the
kabhi hawala-e-dasht-o-sarab hum bhi the
teri nigah ne gauhar bana diya warna
hisar-e-mauj mein misl-e-habab hum bhi the
junun ne hum ko bhi baKHshi thi shan-e-dar-ba-dari
jahan-e-fikr mein KHana-KHarab hum bhi the
hamare zarf ko rutbon se tolne walo
isi dayar mein izzat-maab hum bhi the
andhere ho gae mansub hum se ab warna
is aasman mein kabhi aaftab hum bhi the
- Book : Raqs-e-Qalam (Pg. 89)
- Author : Rehbar Jaunpuri
- Publication : Mohammad Tariq and Aabshar Ahmad, Shahwar Ahmad (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.