rah-e-KHirad mein jahan sar hai dard-e-sar bhi hai
Interesting Fact
November 1980
rah-e-ḳhirad meñ jahāñ sar hai dard-e-sar bhī hai
ki gū-magū bhī agar bhī hai aur magar bhī hai
faqīh-e-shahr muazzaz bhī mo'atabar bhī hai
magar marāsim-e-ulfat se be-ḳhabar bhī hai
tirī nazar ki nazar bhī nahīñ nazar bhī hai
jise hamārī ḳhabar bhī nahīñ ḳhabar bhī hai
yahāñ kī qaid se ghabrā rahā hai dīvāna
ki is dayār meñ dīvār bhī hai dar bhī hai
jahān-e-āriz-o-gesū ajiib duniyā hai
ki jis meñ shaam bhī hai saath hī sahar bhī hai
ye dil kī vādī-e-aiman meñ kaun aa utrā
ki jo jamāl-e-nahufta bhī jalva-gar bhī hai
jo raah ahl-e-ḳhirad ke liye hai lā-mahdūd
junūn-e-jazba-e-ulfat meñ muḳhtasar bhī hai
rah-e-KHirad mein jahan sar hai dard-e-sar bhi hai
ki gu-magu bhi agar bhi hai aur magar bhi hai
faqih-e-shahr muazzaz bhi mo'atabar bhi hai
magar marasim-e-ulfat se be-KHabar bhi hai
teri nazar ki nazar bhi nahin nazar bhi hai
jise hamari KHabar bhi nahin KHabar bhi hai
yahan ki qaid se ghabra raha hai diwana
ki is dayar mein diwar bhi hai dar bhi hai
jahan-e-ariz-o-gesu ajib duniya hai
ki jis mein sham bhi hai sath hi sahar bhi hai
ye dil ki wadi-e-aiman mein kaun aa utra
ki jo jamal-e-nahufta bhi jalwa-gar bhi hai
jo rah ahl-e-KHirad ke liye hai la-mahdud
junun-e-jazba-e-ulfat mein muKHtasar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.