rah gaya kam hi go safar baqi
rah gayā kam hī go safar baaqī
dil meñ ḳhvāhish kā hai guzar baaqī
kyā nadī phir se āzmā.egī
kyā abhī aur haiñ bhañvar baaqī
kyā akele hī aage jaanā hai
kyā nahīñ koī ham-safar baaqī
kyā vo mujh se kabhī na bichhḌegā
kyā nahīñ dil meñ koī Dar baaqī
kyā nahīñ jāntā mujhe koī
kyā nahīñ shahr meñ vo ghar baaqī
rah gaya kam hi go safar baqi
dil mein KHwahish ka hai guzar baqi
kya nadi phir se aazmaegi
kya abhi aur hain bhanwar baqi
kya akele hi aage jaana hai
kya nahin koi ham-safar baqi
kya wo mujh se kabhi na bichhDega
kya nahin dil mein koi Dar baqi
kya nahin jaanta mujhe koi
kya nahin shahr mein wo ghar baqi
- Book : Soch Samajh (Pg. 21)
- Author : Salman Akhtar
- Publication : Star Publishers Pvt.Ltd, N. Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.