rah jae na shaiba KHudi ka
rah jaa.e na shā.iba ḳhudī kā
maqsūd yahī hai bandagī kā
ik nāla-e-be-sadā thā jis ne
paiġhām diyā hameñ ḳhushī kā
hairānī-e-chashm-e-dil baḌhā dī
allāh re sitam ye āgahī kā
rusvā thī chaman meñ nik.hat-e-gul
anjām ye thā shaguftagī kā
ai sāhib-e-hosh rafta rafta
aa.egā shu.ūr sarḳhushī kā
kyā shai hai ye mai-kada ki jis meñ
aalam hai tamām tishnagī kā
ai nāla-e-andalīb bas kar
dil TuuT gayā kalī kalī kā
rah jae na shaiba KHudi ka
maqsud yahi hai bandagi ka
ek nala-e-be-sada tha jis ne
paigham diya hamein KHushi ka
hairani-e-chashm-e-dil baDha di
allah re sitam ye aagahi ka
ruswa thi chaman mein nikhat-e-gul
anjam ye tha shaguftagi ka
ai sahib-e-hosh rafta rafta
aaega shuur sarKHushi ka
kya shai hai ye mai-kada ki jis mein
aalam hai tamam tishnagi ka
ai nala-e-andalib bas kar
dil TuT gaya kali kali ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.