rah kar bhi tujhse dur tere aas-pas hun
rah kar bhī tujh se duur tire ās-pās huuñ
hijrāñ meñ jal rahī huuñ maiñ jaise kapās huuñ
qabza kiyā hai kis ne ye mere shu.ūr par
ik umr ho ga.ī hai mujhe bad-havās huuñ
duniyā na dekh pā.egī terā koī bhī aib
mujh ko pahan ke dekh maiñ terā libās huuñ
jis se mirā sukūn bhī dekhā nahīñ gayā
da.avā vo kar rahā hai tirā ġham-shanās huuñ
maiñ muskurā ke baat to kartī huuñ ai 'siyā'
ab kis ko maiñ batā.ūñ kī kitnī udaas huuñ
rah kar bhi tujh se dur tere aas-pas hun
hijran mein jal rahi hun main jaise kapas hun
qabza kiya hai kis ne ye mere shuur par
ek umr ho gai hai mujhe bad-hawas hun
duniya na dekh paegi tera koi bhi aib
mujh ko pahan ke dekh main tera libas hun
jis se mera sukun bhi dekha nahin gaya
dawa wo kar raha hai tera gham-shanas hun
main muskura ke baat to karti hun ai 'siya'
ab kis ko main bataun ki kitni udas hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.