rah ke makkaron mein makkar hui hai duniya
rah ke makkaron mein makkar hui hai duniya
Mohsin Aftab Kelapuri
MORE BYMohsin Aftab Kelapuri
rah ke makkāroñ meñ makkār huī hai duniyā
mere dushman kī taraf-dār huī hai duniyā
paak dāman thī ye jab tak thī mire hujre meñ
chhoḌ ke mujh ko gunahgār huī hai duniyā
ain mumkin hai ke bad-nām mujhe bhī kar de
merī shohrat se jo bezār huī hai duniyā
tū nahīñ thā to ye raunaq bhī kahāñ thī pahle
tere aane se hī gulzār huī hai duniyā
apnī palkoñ se jhaTakte hue kuchh ḳhvāboñ ko
le ke añgḌā.iyāñ bedār huī hai duniyā
kuchh dinoñ se ye ḳhabar guuñj rahī hai 'mohsin'
ek shā.ir kī talabgār huī hai duniyā
rah ke makkaron mein makkar hui hai duniya
mere dushman ki taraf-dar hui hai duniya
pak daman thi ye jab tak thi mere hujre mein
chhoD ke mujh ko gunahgar hui hai duniya
ain mumkin hai ke bad-nam mujhe bhi kar de
meri shohrat se jo bezar hui hai duniya
tu nahin tha to ye raunaq bhi kahan thi pahle
tere aane se hi gulzar hui hai duniya
apni palkon se jhaTakte hue kuchh KHwabon ko
le ke angDaiyan bedar hui hai duniya
kuchh dinon se ye KHabar gunj rahi hai 'mohsin'
ek shair ki talabgar hui hai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.