rah rah kar kyon dil taDpa hai main bhi sochun tu bhi soch
rah rah kar kyon dil taDpa hai main bhi sochun tu bhi soch
Nasim Rifat Gwaliori
MORE BYNasim Rifat Gwaliori
rah rah kar kyoñ dil taḌpā hai maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
pyaar meñ āḳhir aisā kyā hai maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
dil kī bāteñ kahnā chāhūñ lekin tujh se kah na sakūñ
aksar aisā kyoñ hotā hai maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
kaise kaise afsāne haiñ tere mere baare meñ
saarā zamāna soch rahā hai maiñ bhī sochoñ tū bhī soch
pyaar se yuuñ to sab milte haiñ mīThī bāteñ karte haiñ
kaun parāyā kaun apnā hai maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
bair rakho to ḳhush rahtī hai pyaar karo to jaltī hai
ye duniyā kaisī duniyā hai maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
pichhlī rut ke mere dil par zaḳhm abhī baaqī haiñ 'nasīm'
is mausam meñ kyā honā hai maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
rah rah kar kyon dil taDpa hai main bhi sochun tu bhi soch
pyar mein aaKHir aisa kya hai main bhi sochun tu bhi soch
dil ki baaten kahna chahun lekin tujh se kah na sakun
aksar aisa kyon hota hai main bhi sochun tu bhi soch
kaise kaise afsane hain tere mere bare mein
sara zamana soch raha hai main bhi sochon tu bhi soch
pyar se yun to sab milte hain miThi baaten karte hain
kaun paraya kaun apna hai main bhi sochun tu bhi soch
bair rakho to KHush rahti hai pyar karo to jalti hai
ye duniya kaisi duniya hai main bhi sochun tu bhi soch
pichhli rut ke mere dil par zaKHm abhi baqi hain 'nasim'
is mausam mein kya hona hai main bhi sochun tu bhi soch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.