raha gardishon mein har-dam mere ishq ka sitara
rahā gardishoñ meñ har-dam mire ishq kā sitāra
kabhī Dagmagā.ī kashtī kabhī kho gayā kināra
koī dil ke khel dekhe ki mohabbatoñ kī baazī
vo qadam qadam pe jiite maiñ qadam qadam pe haarā
ye hamārī bad-nasībī jo nahīñ to aur kyā hai
ki usī ke ho ga.e ham jo na ho sakā hamārā
paḌe jab ġhamoñ se paale rahe miT ke miTne vaale
jise maut ne na pūchhā use zindagī ne maarā
raha gardishon mein har-dam mere ishq ka sitara
kabhi Dagmagai kashti kabhi kho gaya kinara
koi dil ke khel dekhe ki mohabbaton ki bazi
wo qadam qadam pe jite main qadam qadam pe haara
ye hamari bad-nasibi jo nahin to aur kya hai
ki usi ke ho gae hum jo na ho saka hamara
paDe jab ghamon se pale rahe miT ke miTne wale
jise maut ne na puchha use zindagi ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.