raha karta hai murgh-e-fahm shaki
rahā kartā hai murġh-e-fahm shākī
na.ī tahzīb ke anDe haiñ ḳhākī
chhurī se un kī kaTvā kar falak ne
ḳhudā jaane hamārī naak kyā kī
abhī engine gayā hai is taraf se
kahe detī hai tārīkī havā kī
rahī raat asia ġhaflat meñ sotī
nazar europe kī kaam apnā kiyā kī
raha karta hai murgh-e-fahm shaki
nai tahzib ke anDe hain KHaki
chhuri se un ki kaTwa kar falak ne
KHuda jaane hamari nak kya ki
abhi engine gaya hai is taraf se
kahe deti hai tariki hawa ki
rahi raat asia ghaflat mein soti
nazar europe ki kaam apna kiya ki
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 113)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.