raha karte hain yun ushshaq teri yaad o hasrat mein
raha karte hain yun ushshaq teri yaad o hasrat mein
Agha Hajju Sharaf
MORE BYAgha Hajju Sharaf
rahā karte haiñ yuuñ 'ushshāq terī yaad o hasrat meñ
base rahte haiñ jaise phuul apnī apnī nik.hat meñ
khichā husn-e-vafā ho kar jo ye tasvīr-e-vahdat meñ
ḳhudā kā nuur shāmil ho gayā insāñ kī sūrat meñ
nahīñ hai lazzat-e-duniyā o mā-fīhā jo qismat meñ
ḳhudā-ma.alūm hissa hai mirā kis ḳhvān-e-ne.amat meñ
safā.ī-ruḳh baḌhī aisī huā ā.īna hairat meñ
javānī meñ nazar aane lagā muñh us kī sūrat meñ
phalūñ phūlūñgā maiñ duniyā se jā kar bāġh-e-jannat meñ
azal se parvarish hotā huuñ maiñ gulzār-e-rahmat meñ
mahall-e-ishq meñ jo ḳhuun mushtāqoñ kā bahtā hai
huā kartī haiñ rañg-āmeziyāñ us kī 'imārat meñ
karo aisī adā.eñ ham se ham tasvīr ho jaa.eñ
raheñ ham aur tum ik jaañ do qālib ho ke ḳhalvat meñ
milī hai merī qismat se mujhe ne'mat tavakkul kī
jo marġhūb-e-ḳhudā haiñ vo maze haiñ us kī lazzat meñ
ḳhudā.ī vajd kartī hai jahāñ maiñ chachahātā huuñ
hazāroñ meñ huuñ ik bulbul tire gulzār-e-qudrat meñ
namāz-e-panjgāna meñ bhī har jā zikr usī kā hai
tashahhud meñ azaañ meñ sajde meñ niyyat meñ rak'at meñ
machal jaane pe us nā-fahm ke rahm us ko aayā hai
liyā hai mere tifl-e-ashk ko dāmān-e-rahmat meñ
dil-āzārī kā ham-sūrat se apne mashvara leñge
ilāhī ḳhair ā.īna talab hotā hai ḳhalvat meñ
mare par bhī 'sharaf' kī donoñ āñkheñ DabDabātī haiñ
ḳhudā jaane ki dam niklā hai un kā kis kī hasrat meñ
raha karte hain yun 'ushshaq teri yaad o hasrat mein
base rahte hain jaise phul apni apni nikhat mein
khicha husn-e-wafa ho kar jo ye taswir-e-wahdat mein
KHuda ka nur shamil ho gaya insan ki surat mein
nahin hai lazzat-e-duniya o ma-fiha jo qismat mein
KHuda-malum hissa hai mera kis KHwan-e-neamat mein
safai-ruKH baDhi aisi hua aaina hairat mein
jawani mein nazar aane laga munh us ki surat mein
phalun phulunga main duniya se ja kar bagh-e-jannat mein
azal se parwarish hota hun main gulzar-e-rahmat mein
mahall-e-ishq mein jo KHun mushtaqon ka bahta hai
hua karti hain rang-ameziyan us ki 'imarat mein
karo aisi adaen hum se hum taswir ho jaen
rahen hum aur tum ek jaan do qalib ho ke KHalwat mein
mili hai meri qismat se mujhe ne'mat tawakkul ki
jo marghub-e-KHuda hain wo maze hain us ki lazzat mein
KHudai wajd karti hai jahan main chachahata hun
hazaron mein hun ek bulbul tere gulzar-e-qudrat mein
namaz-e-panjgana mein bhi har ja zikr usi ka hai
tashahhud mein azan mein sajde mein niyyat mein rak'at mein
machal jaane pe us na-fahm ke rahm us ko aaya hai
liya hai mere tifl-e-ashk ko daman-e-rahmat mein
dil-azari ka ham-surat se apne mashwara lenge
ilahi KHair aaina talab hota hai KHalwat mein
mare par bhi 'sharaf' ki donon aankhen DabDabaati hain
KHuda jaane ki dam nikla hai un ka kis ki hasrat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.