rahe dil ki dil mein zaban tak na pahunche
rahe dil kī dil meñ zabāñ tak na pahuñche
mirā ġham hudūd-e-bayāñ tak na pahuñche
ye hastī na ho be-ḳhudī rafta rafta
kahīñ ḳhvāb ḳhvāb-e-girāñ tak na pahuñche
tirā martaba ai zamīñ allah allāh
tirī gard ko āsmāñ tak na pahuñche
diyā to mirī aarzū kā jale aur
ujālā kisī ke makāñ tak na pahuñche
yahī ab hai behtar ki chup saadh liije
koī baat phir dāstāñ tak na pahuñche
na chheḌeñ vo tār-e-rag-e-jāñ 'sa.ādat'
kahīñ naġhma-e-dil fuġhāñ tak na pahuñche
rahe dil ki dil mein zaban tak na pahunche
mera gham hudud-e-bayan tak na pahunche
ye hasti na ho be-KHudi rafta rafta
kahin KHwab KHwab-e-giran tak na pahunche
tera martaba ai zamin allah allah
teri gard ko aasman tak na pahunche
diya to meri aarzu ka jale aur
ujala kisi ke makan tak na pahunche
yahi ab hai behtar ki chup sadh lije
koi baat phir dastan tak na pahunche
na chheDen wo tar-e-rag-e-jaan 'saadat'
kahin naghma-e-dil fughan tak na pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.