rahe hamare liye shaghl yan koi na koi
rahe hamāre liye shaġhl yaañ koī na koī
dayā kare hameñ ġham āsmāñ koī na koī
ab is meñ hazrat-e-zāhid hoñ yā barahman ho
butoñ kī chūmtā hai āstāñ koī na koī
kabhī uThāte haiñ dil par kabhī jigar par daaġh
khulā hī rakhte haiñ ham bostāñ koī na koī
burā samajh mire a.amāl ko na ai vaa.iz
hai is matā.a kā bhī qadr-dāñ koī na koī
jo Dagmagā.e lahad par mirī to farmāyā
zarūr dafn hai betāb yaañ koī na koī
ab is meñ ho dil-e-betāb yā ho dīda-e-tar
karegā rāz-e-mohabbat ayaañ koī na koī
kabhī hai Tiis jigar meñ kabhī hai dil meñ dard
shab-e-firāq hai āzār-e-jāñ koī na koī
hamārī aatā sharar-bār ho ki nāla-e-gar
jalā.egā tujhe o āsmāñ koī na koī
vo ḳhud hī ā.eñge ab yā mujhe bulā.eñge
asar dikhā.egī āh-o-fuġhāñ koī na koī
'fahīm' vasl kā armāñ ho yā ki hijr kā ġham
hamāre dil meñ rahā mehmāñ koī na koī
rahe hamare liye shaghl yan koi na koi
daya kare hamein gham aasman koi na koi
ab is mein hazrat-e-zahid hon ya barahman ho
buton ki chumta hai aastan koi na koi
kabhi uThate hain dil par kabhi jigar par dagh
khula hi rakhte hain hum bostan koi na koi
bura samajh mere aamal ko na ai waiz
hai is mataa ka bhi qadr-dan koi na koi
jo Dagmagae lahad par meri to farmaya
zarur dafn hai betab yan koi na koi
ab is mein ho dil-e-betab ya ho dida-e-tar
karega raaz-e-mohabbat ayan koi na koi
kabhi hai Tis jigar mein kabhi hai dil mein dard
shab-e-firaq hai aazar-e-jaan koi na koi
hamari aata sharar-bar ho ki nala-e-gar
jalaega tujhe o aasman koi na koi
wo KHud hi aaenge ab ya mujhe bulaenge
asar dikhaegi aah-o-fughan koi na koi
'fahim' wasl ka arman ho ya ki hijr ka gham
hamare dil mein raha mehman koi na koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.