rahe raqib se baham wo sim-bar mahzuz
rahe raqīb se bāham vo sīm-bar mahzūz
huā na aah kā apne kabhī asar mahzūz
dareġh chashm-e-karam se na rakh ki ai zālim
kare hai dil ko mire terī yak nazar mahzūz
na baar baar havas ho nabāt kī mujh ko
rakhe jo ek hī bosa meñ lab-e-shakar mahzūz
tamāsha ek ḳhudā.ī kā ham dikhāte haiñ
to kījiye banda-navāzī hue ho magar mahzūz
yahī duā hai ki 'chandā' kā dil alī valī
tere karam se rahe shaam aur sahar mahzūz
rahe raqib se baham wo sim-bar mahzuz
hua na aah ka apne kabhi asar mahzuz
daregh chashm-e-karam se na rakh ki ai zalim
kare hai dil ko mere teri yak nazar mahzuz
na bar bar hawas ho nabaat ki mujh ko
rakhe jo ek hi bosa mein lab-e-shakar mahzuz
tamasha ek KHudai ka hum dikhate hain
to kijiye banda-nawazi hue ho magar mahzuz
yahi dua hai ki 'chanda' ka dil ali wali
tere karam se rahe sham aur sahar mahzuz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.