rahe salamat gham-e-mohabbat kahan kahan apne kaam aaya
rahe salamat gham-e-mohabbat kahan kahan apne kaam aaya
Musavvir Karanjavi
MORE BYMusavvir Karanjavi
rahe salāmat ġham-e-mohabbat kahāñ kahāñ apne kaam aayā
sanam-parastoñ meñ zikr niklā ḳhudā-parastoñ meñ naam aayā
kahūñ maiñ kyoñ bevafā kisī ko vo mujh se be-ruḳh na be-ḳhabar hai
hamesha us kī taraf se mujh ko salām pahuñchā payām aayā
mirī taraf se guzarne vaale na dekh mujh ko palaT palaT kar
maiñ vo nahīñ huuñ ki jo pukāre huzūr Thahreñ ġhulām aayā
surūr-o-mastī huuñ meñ sarāpā ye raaz kyā hai ḳhudā hī jaane
na maiñ ne dekhī subū kī sūrat na mere hisse meñ jaam aayā
lahū diyā thā jinhoñ ne apnā rahe vo mahrūm apne haq se
tamām sarmāya-e-bahārāñ chaman-faroshoñ ke kaam aayā
vo dekho parcham sanam-kade kā nazar meñ tasvīr khiñch ga.ī hai
chalo 'musavvir' qadam baḌhāo baḌā muqaddas maqām aayā
rahe salamat gham-e-mohabbat kahan kahan apne kaam aaya
sanam-paraston mein zikr nikla KHuda-paraston mein nam aaya
kahun main kyon bewafa kisi ko wo mujh se be-ruKH na be-KHabar hai
hamesha us ki taraf se mujh ko salam pahuncha payam aaya
meri taraf se guzarne wale na dekh mujh ko palaT palaT kar
main wo nahin hun ki jo pukare huzur Thahren ghulam aaya
surur-o-masti hun mein sarapa ye raaz kya hai KHuda hi jaane
na main ne dekhi subu ki surat na mere hisse mein jam aaya
lahu diya tha jinhon ne apna rahe wo mahrum apne haq se
tamam sarmaya-e-bahaaran chaman-faroshon ke kaam aaya
wo dekho parcham sanam-kade ka nazar mein taswir khinch gai hai
chalo 'musawwir' qadam baDhao baDa muqaddas maqam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.