rahguzar ke sath ek hamrah bhi to chahiye
rahguzar ke saath ik hamrāh bhī to chāhiye
aur āġhāz-e-safar ko chaah bhī to chāhiye
nāz-o-andāz-o-adā ye ishq ke rahbar haiñ sab
ham ko is tūfāñ kī lekin thaah bhī to chāhiye
āh-o-giryā sog mātam shā.irī meñ kar ke nazm
apnī ayyārī pe ab kuchh vaah bhī to chāhiye
maslahat allāh kī kuchh hogī dard-e-ishq meñ
hai sukūñ kī baat par allāh bhī to chāhiye
jiit un kī hai ki jo karte nahīñ iz.hār-e-dard
zulm ko sar chāhiye par aah bhī to chāhiye
kab tak āḳhir karte jaa.eñ ham ye kār-e-intizār
saal meñ do saal meñ tanḳhvāh bhī to chāhiye
ḳhud-kushī ik āḳhirī koshish hai zinda rahne kī
ḳhud-kushī karne ko ik parvāh bhī to chāhiye
rahguzar ke sath ek hamrah bhi to chahiye
aur aaghaz-e-safar ko chah bhi to chahiye
naz-o-andaz-o-ada ye ishq ke rahbar hain sab
hum ko is tufan ki lekin thah bhi to chahiye
aah-o-girya sog matam shairi mein kar ke nazm
apni ayyari pe ab kuchh wah bhi to chahiye
maslahat allah ki kuchh hogi dard-e-ishq mein
hai sukun ki baat par allah bhi to chahiye
jit un ki hai ki jo karte nahin izhaar-e-dard
zulm ko sar chahiye par aah bhi to chahiye
kab tak aaKHir karte jaen hum ye kar-e-intizar
sal mein do sal mein tanKHwah bhi to chahiye
KHud-kushi ek aaKHiri koshish hai zinda rahne ki
KHud-kushi karne ko ek parwah bhi to chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.