rahiye ahbab se kaT kar ki waba ke din hain
rahiye ahbāb se kaT kar ki vabā ke din haiñ
saañs bhī lījiye haT kar ki vabā ke din haiñ
vo jinheñ ḳhud se bhī milne kī nahīñ thī fursat
rah ga.e ḳhud meñ simaT kar ki vabā ke din haiñ
raunaq-e-bazm-e-jahāñ ḳhud ko samajhne vaale
aa ga.e ghar ko palaT kar ki vabā ke din haiñ
kyā kisī aur se ab harf-e-tasallī kahiye
roiye ḳhud se lipaT kar ki vabā ke din haiñ
ek jhaTke meñ hue shāh-o-gadā zer-o-zabar
rah ga.ī duniyā ulaT kar ki vabā ke din haiñ
sab ko mālūm hai ta.abīr to yaksāñ hogī
ḳhvāb hī dekh leñ haT kar ki vabā ke din haiñ
ek kamre meñ simaT aa.ī hai saarī duniyā
rah ga.e ḳhānoñ meñ baT kar ki vabā ke din haiñ
ye mirā rañg-e-taġhazzul to nahīñ hai lekin
ik ġhazal likkhī hai haT kar ki vabā ke din haiñ
rahiye ahbab se kaT kar ki waba ke din hain
sans bhi lijiye haT kar ki waba ke din hain
wo jinhen KHud se bhi milne ki nahin thi fursat
rah gae KHud mein simaT kar ki waba ke din hain
raunaq-e-bazm-e-jahan KHud ko samajhne wale
aa gae ghar ko palaT kar ki waba ke din hain
kya kisi aur se ab harf-e-tasalli kahiye
roiye KHud se lipaT kar ki waba ke din hain
ek jhaTke mein hue shah-o-gada zer-o-zabar
rah gai duniya ulaT kar ki waba ke din hain
sab ko malum hai tabir to yaksan hogi
KHwab hi dekh len haT kar ki waba ke din hain
ek kamre mein simaT aai hai sari duniya
rah gae KHanon mein baT kar ki waba ke din hain
ye mera rang-e-taghazzul to nahin hai lekin
ek ghazal likkhi hai haT kar ki waba ke din hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.