rahm ai gham-e-jaanan baat aa gai yan tak
rahm ai ġham-e-jānāñ baat aa ga.ī yaañ tak
dasht-e-gardish-e-daurāñ aur mire garebāñ tak
ik hamīñ lagā.eñge ḳhār-o-ḳhas ko siine se
varna sab chaman meñ haiñ mausam-e-bahārāñ tak
merī dastak-e-vahshat aaj rok lo varna
fāsla bahut kam hai haath se garebāñ tak
hai 'shamīm' azal hī se silsila mohabbat kā
halqa-e-salāsil se gesū-e-pareshāñ tak
rahm ai gham-e-jaanan baat aa gai yan tak
dasht-e-gardish-e-dauran aur mere gareban tak
ek hamin lagaenge KHar-o-KHas ko sine se
warna sab chaman mein hain mausam-e-bahaaran tak
meri dastak-e-wahshat aaj rok lo warna
fasla bahut kam hai hath se gareban tak
hai 'shamim' azal hi se silsila mohabbat ka
halqa-e-salasil se gesu-e-pareshan tak
- Book : Junoon (Pg. 226)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.