rahmaton se ghar sajaane mah-e-ramzan aa gaya
rahmatoñ se ghar sajāne māh-e-ramzāñ aa gayā
sīdhe raste par chalāne māh-e-ramzāñ aa gayā
is kī raunaq aur bahāreñ dekhte haiñ chār-sū
bekalī aur dukh miTāne māh-e-ramzāñ aa gayā
roze kī barkat kā yaaro mājrā hī aur hai
ḳhair ke le kar ḳhazāne māh-e-ramzāñ aa gayā
gūñjtī haiñ har taraf qur.ān kī hī āyateñ
nekiyoñ meñ din bitāne māh-e-ramzāñ aa gayā
dil kī apnī sab murādeñ pyāre rab se maañg lo
khul ga.e rab ke ḳhazāne māh-e-ramzāñ aa gayā
masjideñ ābād haiñ phir mominoñ ke dam se yuuñ
rab ko apne phir manāne māh-e-ramzāñ aa gayā
dil 'shagufta' kā taḌap ke kah rahā hai aaj ye
ranj-o-ġham jī se bhulāne māh-e-ramzāñ aa gayā
rahmaton se ghar sajaane mah-e-ramzan aa gaya
sidhe raste par chalane mah-e-ramzan aa gaya
is ki raunaq aur bahaaren dekhte hain chaar-su
bekali aur dukh miTane mah-e-ramzan aa gaya
roze ki barkat ka yaro majra hi aur hai
KHair ke le kar KHazane mah-e-ramzan aa gaya
gunjti hain har taraf quran ki hi aayaten
nekiyon mein din bitane mah-e-ramzan aa gaya
dil ki apni sab muraden pyare rab se mang lo
khul gae rab ke KHazane mah-e-ramzan aa gaya
masjiden aabaad hain phir mominon ke dam se yun
rab ko apne phir manane mah-e-ramzan aa gaya
dil 'shagufta' ka taDap ke kah raha hai aaj ye
ranj-o-gham ji se bhulane mah-e-ramzan aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.