rahna tum chahe jahan KHabron mein aate rahna
rahnā tum chāhe jahāñ ḳhabroñ meñ aate rahnā
ham ko ehsās-e-judā.ī se bachāte rahnā
ḳhud-gazīda huuñ baḌā zahr hai mere andar
is kā tiryāq hai rātoñ ko jagāte rahnā
muddatoñ ba.ad jo dekhoge to Dar jāoge
apne ko aa.ina har roz dikhāte rahnā
ḳhud-farebī se hasīñ-tar nahīñ koī jazba
ḳhud jo rahnā hai to ye dhokā bhī khāte rahnā
ye to ma.alūm hai marne pe milegī ujrat
kār-e-fankār hai tasvīr banāte rahnā
apnī nā-ahlī pe qātil ko na taish aa jaa.e
ochhe zaḳhmoñ ko zarā us se chhupāte rahnā
hārne jītne se kuchh nahīñ hotā 'vāmiq'
khel har saañs pe hai daañv lagāte rahnā
rahna tum chahe jahan KHabron mein aate rahna
hum ko ehsas-e-judai se bachate rahna
KHud-gazida hun baDa zahr hai mere andar
is ka tiryaq hai raaton ko jagate rahna
muddaton baad jo dekhoge to Dar jaoge
apne ko aaina har roz dikhate rahna
KHud-farebi se hasin-tar nahin koi jazba
KHud jo rahna hai to ye dhoka bhi khate rahna
ye to malum hai marne pe milegi ujrat
kar-e-fankar hai taswir banate rahna
apni na-ahli pe qatil ko na taish aa jae
ochhe zaKHmon ko zara us se chhupate rahna
haarne jitne se kuchh nahin hota 'wamiq'
khel har sans pe hai danw lagate rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.