rahne walon ko tere kuche ke ye kya ho gaya
rahne vāloñ ko tire kūche ke ye kyā ho gayā
mere aate hī yahāñ hañgāma barpā ho gayā
terā aanā thā tasavvur meñ tamāshā sham.a-rū
mere dil par raat parvānoñ kā balvā ho gayā
zabt kartā huuñ vale is par bhī hai ye josh-e-ashk
gir paḌā jo aañkh se qatra vo dariyā ho gayā
is qadar maanā burā maiñ ne adū kā sun ke naam
āḳhir us kī aisī bātoñ kā tamāshā ho gayā
kyā ġhazab hai iltijā par maut bhī aatī nahīñ
talḳh-kāmī par hamārī zahr mīThā ho gayā
dekh yuuñ ḳhāna-ḳharābī ġhair vaañ qābiz huā
jis ke ghar ko ham ye samjhe the ki apnā ho gayā
rahne walon ko tere kuche ke ye kya ho gaya
mere aate hi yahan hangama barpa ho gaya
tera aana tha tasawwur mein tamasha shama-ru
mere dil par raat parwanon ka balwa ho gaya
zabt karta hun wale is par bhi hai ye josh-e-ashk
gir paDa jo aankh se qatra wo dariya ho gaya
is qadar mana bura main ne adu ka sun ke nam
aaKHir us ki aisi baaton ka tamasha ho gaya
kya ghazab hai iltija par maut bhi aati nahin
talKH-kaami par hamari zahr miTha ho gaya
dekh yun KHana-KHarabi ghair wan qabiz hua
jis ke ghar ko hum ye samjhe the ki apna ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.