rahta hai itna paon ke til ka asar sawar
rahtā hai itnā paaoñ ke til kā asar savār
sar par hai ghar pahuñchte hī aglā safar savār
maiñ chīḳhtā rahā ki nahīñ ḳhat ye mere naam
lekin havā ke ghoḌe pe thā nāma-bar savār
miltā nahīñ hai dasht-navardī meñ ab vo lutf
rahne lagā hai zehn pe ghar is qadar savār
kis chiiz kī na-jāne zarūrat kahāñ paḌe
kar luuñ na apne saath savārī meñ ghar savār
rākib ko ek baar girā de jo raḳhsh-e-umr
mumkin nahīñ vo is pe ho bār-e-digar savār
ye ishq kā nasha to utartā nahīñ kabhī
'bāsir' yūñhī rahegā ye a.asāb par savār
rahta hai itna paon ke til ka asar sawar
sar par hai ghar pahunchte hi agla safar sawar
main chiKHta raha ki nahin KHat ye mere nam
lekin hawa ke ghoDe pe tha nama-bar sawar
milta nahin hai dasht-nawardi mein ab wo lutf
rahne laga hai zehn pe ghar is qadar sawar
kis chiz ki na-jaane zarurat kahan paDe
kar lun na apne sath sawari mein ghar sawar
rakib ko ek bar gira de jo raKHsh-e-umr
mumkin nahin wo is pe ho bar-e-digar sawar
ye ishq ka nasha to utarta nahin kabhi
'basir' yunhi rahega ye aasab par sawar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.