rahte hain is tarah se gham-o-yas aas-pas
rahte haiñ is tarah se ġham-o-yās ās-pās
maiñ un se duur duur to ye mere paas paas
ye bhī nashe meñ kyuuñ na mire saath chuur ho
saaqī ḳhudā ke vāste rakh de gilās paas
phir chāk-dāmanī kī hameñ qadr kyuuñ na ho
jab aur dūsrā nahīñ koī libās paas
chakrā rahā hai kūcha-e-gesū meñ jā ke dil
mañDlā rahī hai maut musāfir ke ās-pās
'nātiq' ḳhudā kī shaan ki apnā nahīñ koī
hone ko yuuñ to saarī ḳhudā.ī hai ās-pās
rahte hain is tarah se gham-o-yas aas-pas
main un se dur dur to ye mere pas pas
ye bhi nashe mein kyun na mere sath chur ho
saqi KHuda ke waste rakh de gilas pas
phir chaak-damani ki hamein qadr kyun na ho
jab aur dusra nahin koi libas pas
chakra raha hai kucha-e-gesu mein ja ke dil
manDla rahi hai maut musafir ke aas-pas
'natiq' KHuda ki shan ki apna nahin koi
hone ko yun to sari KHudai hai aas-pas
- Deewan-e-Natiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.