rahte hue qarib juda ho gae ho tum
rahte hue qarīb judā ho ga.e ho tum
banda-navāz jaise ḳhudā ho ga.e ho tum
majbūriyoñ ko dekh ke ahl-e-niyāz kī
shāyān-e-e'tibār-e-jafā ho ga.e ho tum
hotā nahīñ hai koī kisī kā jahāñ rafīq
un manziloñ meñ rāh-numā ho ga.e ho tum
tanhā tumhīñ ho jin kī mohabbat kā aasrā
un bekasoñ ke dil kī duā ho ga.e ho tum
de kar naved-e-naġhma-e-ġham sāz-e-ishq ko
TuuTe hue diloñ kī sadā ho ga.e ho tum
'anvar' gunāhgār o ḳhatā-vār hī sahī
sar-tāba-pā atā hī atā ho ga.e ho tum
rahte hue qarib juda ho gae ho tum
banda-nawaz jaise KHuda ho gae ho tum
majburiyon ko dekh ke ahl-e-niyaz ki
shayan-e-e'tibar-e-jafa ho gae ho tum
hota nahin hai koi kisi ka jahan rafiq
un manzilon mein rah-numa ho gae ho tum
tanha tumhin ho jin ki mohabbat ka aasra
un bekason ke dil ki dua ho gae ho tum
de kar nawed-e-naghma-e-gham saz-e-ishq ko
TuTe hue dilon ki sada ho gae ho tum
'anwar' gunahgar o KHata-war hi sahi
sar-taba-pa ata hi ata ho gae ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.