rahte the kabhi jin ke dil mein hum jaan se bhi pyaron ki tarah
rahte the kabhi jin ke dil mein hum jaan se bhi pyaron ki tarah
Majrooh Sultanpuri
MORE BYMajrooh Sultanpuri
rahte the kabhī jin ke dil meñ ham jaan se bhī pyāroñ kī tarah
baiThe haiñ unhī ke kūche meñ ham aaj gunahgāroñ kī tarah
da.avā thā jinheñ hamdardī kā ḳhud aa ke na pūchhā haal kabhī
mahfil meñ bulāyā hai ham pe hañsne ko sitamgāroñ kī tarah
barsoñ ke sulagte tum man par ashkoñ ke to chhīñTe de na sake
tapte hue dil ke zaḳhmoñ par barse bhī to angāroñ kī tarah
sau ruup bhare jiine ke liye baiThe haiñ hazāroñ zahr piye
Thokar na lagānā ham ḳhud haiñ girtī huī dīvāroñ kī tarah
rahte the kabhi jin ke dil mein hum jaan se bhi pyaron ki tarah
baiThe hain unhi ke kuche mein hum aaj gunahgaron ki tarah
dawa tha jinhen hamdardi ka KHud aa ke na puchha haal kabhi
mahfil mein bulaya hai hum pe hansne ko sitamgaron ki tarah
barson ke sulagte tum man par ashkon ke to chhinTe de na sake
tapte hue dil ke zaKHmon par barse bhi to angaron ki tarah
sau rup bhare jine ke liye baiThe hain hazaron zahr piye
Thokar na lagana hum KHud hain girti hui diwaron ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.