rahti hai mere dil mein kisi dilruba ki yaad
rahti hai mere dil mein kisi dilruba ki yaad
Sipah Daar Khan Begun
MORE BYSipah Daar Khan Begun
rahtī hai mere dil meñ kisī dilrubā kī yaad
har dam mujhe satātī hai us bevafā kī yaad
bil-ḳhair ḳhātma mirā hovegā hamdamo
har-dam hai dil meñ hazrat-e-ḳhair-ul-varā kī yaad
hairat mirī fuzūñ huī ā.īna dekh kar
aa.ī mujhe kisī ke jo ruḳh par safā kī yaad
ai momino jo chāho rah-e-mustaqīm ko
har lahza rakkho dil meñ shah-e-ambiyā kī yaad
dil par jo rahtā hai rah-e-pur-nūr kā ḳhayāl
rahtī hai raat bhar tirī zulf-e-dotā kī yaad
khaTkā nahīñ hai dil meñ mire roz-e-hashr kā
rahtī hai mujh ko shāfe'-e-roz-e-jazā kī yaad
rahti hai mere dil mein kisi dilruba ki yaad
har dam mujhe satati hai us bewafa ki yaad
bil-KHair KHatma mera howega hamdamo
har-dam hai dil mein hazrat-e-KHair-ul-wara ki yaad
hairat meri fuzun hui aaina dekh kar
aai mujhe kisi ke jo ruKH par safa ki yaad
ai momino jo chaho rah-e-mustaqim ko
har lahza rakkho dil mein shah-e-ambiya ki yaad
dil par jo rahta hai rah-e-pur-nur ka KHayal
rahti hai raat bhar teri zulf-e-dota ki yaad
khaTka nahin hai dil mein mere roz-e-hashr ka
rahti hai mujh ko shafe'-e-roz-e-jaza ki yaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.