rahun kahe ko dil-KHasta phirun kahe ko aawara
rahūñ kaahe ko dil-ḳhasta phirūñ kaahe ko āvāra
agar aañ turk-e-shīrāzī ba-dast aarad dil-e-mā rā
ḳhudā gar mujh gadā ko saltanat baḳhshe to maiñ yaaro
ba-ḳhāl-e-hinduash baḳhsham samarqand-o-buḳhārā rā
ham apnā to bahisht-o-chashma-e-kausar samajhte haiñ
kanār-e-āb-ruknābād-o-gul-gasht-e-musallā rā
zamīñ par aayā jab yūsuf usī din āsmāñ royā
ki 'ishq az parda-e-ismat barūñ aarad zuleḳhā rā
ye zālim sang-dil mahbūb jādūgar sitam-pesha
chunāñ burdand sabr az dil ki turkāñ ḳhvān-e-yaġhmā rā
jo sāhib-e-husn haiñ hargiz nahīñ muhtāj zīnat ke
ba-āb-o-rang-o-ḳhāl-o-ḳhat che hājat rū-e-zebā rā
butoñ kī gāliyoñ meñ bhī 'ajab lazzat nikaltī hai
javāb-e-talḳh mī zībad lab-e-lāl-e-shakar-ḳhā rā
tū hastī kī girah par aql ke nāḳhun na toḌ ai dil
ki kas nakshod-o-nakashāyad ba-hikmat iiñ mu'ammā rā
'nazīr' is lutf se tazmīn kar tū misra-e-hāfiz
ki bar nazm-e-tū afshānad falak aqd-e-surayyā rā
rahun kahe ko dil-KHasta phirun kahe ko aawara
agar aan turk-e-shiraazi ba-dast aarad dil-e-ma ra
KHuda gar mujh gada ko saltanat baKHshe to main yaro
ba-KHal-e-hinduash baKHsham samarqand-o-buKHara ra
hum apna to bahisht-o-chashma-e-kausar samajhte hain
kanar-e-ab-ruknabaad-o-gul-gasht-e-musalla ra
zamin par aaya jab yusuf usi din aasman roya
ki 'ishq az parda-e-ismat barun aarad zuleKHa ra
ye zalim sang-dil mahbub jadugar sitam-pesha
chunan burdand sabr az dil ki turkan KHwan-e-yaghma ra
jo sahib-e-husn hain hargiz nahin muhtaj zinat ke
ba-ab-o-rang-o-KHal-o-KHat che hajat ru-e-zeba ra
buton ki galiyon mein bhi 'ajab lazzat nikalti hai
jawab-e-talKH mi zibad lab-e-lal-e-shakar-KHa ra
tu hasti ki girah par aql ke naKHun na toD ai dil
ki kas nakshod-o-nakashayad ba-hikmat in mu'amma ra
'nazir' is lutf se tazmin kar tu misra-e-hafiz
ki bar nazm-e-tu afshanad falak aqd-e-surayya ra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.