rais hum jo su-e-kucha-e-habib chale
'ra.īs' ham jo sū-e-kūcha-e-habīb chale
hamāre saath hazāroñ balā-nasīb chale
rafāqatoñ kī sa.ādat liye rafīq aa.e
raqābatoñ kī nahūsat liye raqīb chale
jo qāfile ki hamārī talab meñ nikle the
kabhī ba.iid se guzre kabhī qarīb chale
aqab meñ hādisa-e-sub.h-o-shām ke ifrīt
jilau meñ gardish-e-ayyām ke naqīb chale
jahāñ ko jin ke nasībe pe rashk aatā thā
nikal ke apne gharoñ se vo bad-nasīb chale
ye chal-chalāv ajīb-o-ġharīb thā ai dost
ġharīb log sū-e-ālam-e-ajīb chale
'rais' hum jo su-e-kucha-e-habib chale
hamare sath hazaron bala-nasib chale
rafaqaton ki saadat liye rafiq aae
raqabaton ki nahusat liye raqib chale
jo qafile ki hamari talab mein nikle the
kabhi baid se guzre kabhi qarib chale
aqab mein hadisa-e-subh-o-sham ke ifrit
jilau mein gardish-e-ayyam ke naqib chale
jahan ko jin ke nasibe pe rashk aata tha
nikal ke apne gharon se wo bad-nasib chale
ye chal-chalaw ajib-o-gharib tha ai dost
gharib log su-e-alam-e-ajib chale
- Book : Hikayat-e-ne (Pg. 22)
- Author : Rais Amrohvi
- Publication : Rais Acadami, Garden Est, krachis (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.