rail aai musafir juda ho gaya
rail aa.ī musāfir judā ho gayā
haq hamārā tumhārā adā ho gayā
jism parchhā.īñ thā nuur meñ uḌ gayā
dekhte dekhte maiñ ḳhudā ho gayā
Dhalte sūraj ke aage sadā dosto
sāya-e-jism merā baḌā ho gayā
bijliyoñ ke añdheroñ meñ ham kho ga.e
duur miTTī kā jab se diyā ho gayā
rail aai musafir juda ho gaya
haq hamara tumhaara ada ho gaya
jism parchhain tha nur mein uD gaya
dekhte dekhte main KHuda ho gaya
Dhalte suraj ke aage sada dosto
saya-e-jism mera baDa ho gaya
bijliyon ke andheron mein hum kho gae
dur miTTi ka jab se diya ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.