rakh mujhe mauj mein tu zinat-e-sahil na bana
rakh mujhe mauj meñ tū zīnat-e-sāhil na banā
zindagī ek safar hai ise manzil na banā
jitne mausam bhī guzāre ġham-e-hijrāñ ke baġhair
un meñ ik pal bhī mirī ziist kā hāsil na banā
mujh ko vaa.iz na paḌhā tark-e-tamannā kā sabaq
maiñ to dīvāna bhalā huuñ mujhe aaqil na banā
zindagī maiñ ne guzārī usī dar par lekin
sang-e-dahlīz rahā sohbat-e-mahfil na banā
apne me.aar pe hī ḳhud ko parakhnā sīkho
mujhe dekho maiñ kisī kā bhī muqābil na banā
go yaqīñ thā mirā mohkam pa tan-āsānī meñ
ye jo dil hai ye mirā murshid-e-kāmil na banā
ye alag baat ki apnī sī ġhazal to kah lī
bante bante meñ ḳhayāl-e-dil-e-'ādil' na banā
rakh mujhe mauj mein tu zinat-e-sahil na bana
zindagi ek safar hai ise manzil na bana
jitne mausam bhi guzare gham-e-hijran ke baghair
un mein ek pal bhi meri zist ka hasil na bana
mujh ko waiz na paDha tark-e-tamanna ka sabaq
main to diwana bhala hun mujhe aaqil na bana
zindagi main ne guzari usi dar par lekin
sang-e-dahliz raha sohbat-e-mahfil na bana
apne mear pe hi KHud ko parakhna sikho
mujhe dekho main kisi ka bhi muqabil na bana
go yaqin tha mera mohkam pa tan-asani mein
ye jo dil hai ye mera murshid-e-kaamil na bana
ye alag baat ki apni si ghazal to kah li
bante bante mein KHayal-e-dil-e-'adil' na bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.