Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rakh-rakhaw mein koi KHwar nahin hota yar

Iftikhar Mughal

rakh-rakhaw mein koi KHwar nahin hota yar

Iftikhar Mughal

rakh-rakhāv meñ koī ḳhvār nahīñ hotā yaar

dost hote haiñ, har ik yaar nahīñ hotā yaar

do ghaḌī baiTho mire paas, kaho kaisī ho

do ghaḌī baiThne se pyaar nahīñ hotā yaar

yaar! ye hijr ġham! is se to maut achchhī hai

jaañ se yuuñ koī bezār nahīñ hotā yaar

ruuh suntī hai mohabbat meñ badan bolte haiñ

lafz pairāya-e-iz.hār nahīñ hotā yaar

naukrī, shā.irī, ghar-bār, zamāna, qadreñ

ik mohabbat āzār nahīñ hotā yaar

ḳhush-dilī aur hai aur ishq āzār kuchh aur

pyaar ho jaa.e to iqrār nahīñ hotā yaar

laḌkiyāñ lafz tasvīr chhupā letī haiñ

un iz.hār bhī iz.hār nahīñ hotā yaar

aadmī ishq meñ bhī ḳhud se nahīñ ghaT saktā

aadmī sāya-e-dīvār nahīñ hotā yār!!

gher letī hai koī zulf, koī bū-e-badan

jaan kar koī giraftār nahīñ hotā yaar

yahī ham aap haiñ hastī kahānī, is meñ

koī afsānvī kirdār nahīñ hotā yaar

rakh-rakhaw mein koi KHwar nahin hota yar

dost hote hain, har ek yar nahin hota yar

do ghaDi baiTho mere pas, kaho kaisi ho

do ghaDi baiThne se pyar nahin hota yar

yar! ye hijr ka gham! is se to maut achchhi hai

jaan se yun hi koi bezar nahin hota yar

ruh sunti hai mohabbat mein badan bolte hain

lafz pairaya-e-izhaar nahin hota yar

naukri, shairi, ghar-bar, zamana, qadren

ek mohabbat hi ka aazar nahin hota yar

KHush-dili aur hai aur ishq ka aazar kuchh aur

pyar ho jae to iqrar nahin hota yar

laDkiyan lafz ki taswir chhupa leti hain

un ka izhaar bhi izhaar nahin hota yar

aadmi ishq mein bhi KHud se nahin ghaT sakta

aadmi saya-e-diwar nahin hota yar!!

gher leti hai koi zulf, koi bu-e-badan

jaan kar koi giraftar nahin hota yar

yahi hum aap hain hasti ki kahani, is mein

koi afsanwi kirdar nahin hota yar

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now