rakhe hain chaak-e-zaman par fana baqa aur main
rakhe hain chaak-e-zaman par fana baqa aur main
Aqeel Abbas Chughtai
MORE BYAqeel Abbas Chughtai
rakhe haiñ chāk-e-zamāñ par fanā baqā aur maiñ
umaD rahe haiñ tamāshā-e-nāravā aur maiñ
phir ek roz ḳhalā bhar gayā thā kamre meñ
ki jazb ho ga.e dīvār meñ sadā aur maiñ
charāġh bujhte rahe aur shahr jalte rahe
sukūt oḌh ke baiThe rahe ḳhudā aur maiñ
ye dasht aaj bhī ham se hai be-ḳhabar afsos
kahāñ kī ḳhaak uḌāte rahe havā aur maiñ
badan kī naav thī girdāb-e-lams joban meñ
ajab ḳhumār meñ Duube the nāḳhudā aur maiñ
thā irtiqā-e-suḳhan koī ḳhāmushī kā amal
hue haiñ vaqf-e-tahayyur mirī navā aur maiñ
zarā sī der mirā dhyān baT gayā thā kahīñ
bujhe mile haiñ kisī aañkh meñ diyā aur maiñ
kuchh is tarah se huā kam hamārā ḳhālī-pan
ki ek dūsre meñ bhar ga.e ḳhalā aur maiñ
abhī ḳhayāl hai tajsīm kī nazar se pare
abhī haiñ ret meñ mastūr aa.ina aur maiñ
rakhe hain chaak-e-zaman par fana baqa aur main
umaD rahe hain tamasha-e-narawa aur main
phir ek roz KHala bhar gaya tha kamre mein
ki jazb ho gae diwar mein sada aur main
charagh bujhte rahe aur shahr jalte rahe
sukut oDh ke baiThe rahe KHuda aur main
ye dasht aaj bhi hum se hai be-KHabar afsos
kahan ki KHak uDate rahe hawa aur main
badan ki naw thi girdab-e-lams joban mein
ajab KHumar mein Dube the naKHuda aur main
tha irtiqa-e-suKHan koi KHamushi ka amal
hue hain waqf-e-tahayyur meri nawa aur main
zara si der mera dhyan baT gaya tha kahin
bujhe mile hain kisi aankh mein diya aur main
kuchh is tarah se hua kam hamara KHali-pan
ki ek dusre mein bhar gae KHala aur main
abhi KHayal hai tajsim ki nazar se pare
abhi hain ret mein mastur aaina aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.