rakhen hain sahra jo itne to jhil bhi rakkho
rakheñ haiñ sahrā jo itne to jhiil bhī rakkho
kabhī visāl ko thoḌā tavīl bhī rakkho
use kaho koī tasvīr bhej de apnī
jo jī rahe ho to koī dalīl bhī rakkho
na jaane kaun se ash.ār kis ko chubh jaa.eñ
jo sachche sher haiñ kahne vakīl bhī rakkho
tumheñ bhī chāhiye izzat agar zamāne se
to apne aap ko thoḌā zalīl bhī rakkho
tamām logoñ kī sargarmiyoñ kā mausam hai
junūñ ke shahr meñ koī sabīl bhī rakho
utaar kar ye udāsī kabhī to Taañg sako
kisī divāl pe ik aisī kiil bhī rakkho
baḌe maze kī savārī hai dil kā ye TaTTū
lagām kas ke rakho aur Dhiil bhī rakkho
ġhamoñ kī sohbateñ achchhī na fāsle achchhe
inheñ hisār meñ rakkho fasīl bhī rakkho
rakhen hain sahra jo itne to jhil bhi rakkho
kabhi visal ko thoDa tawil bhi rakkho
use kaho koi taswir bhej de apni
jo ji rahe ho to koi dalil bhi rakkho
na jaane kaun se ashaar kis ko chubh jaen
jo sachche sher hain kahne wakil bhi rakkho
tumhein bhi chahiye izzat agar zamane se
to apne aap ko thoDa zalil bhi rakkho
tamam logon ki sargarmiyon ka mausam hai
junun ke shahr mein koi sabil bhi rakho
utar kar ye udasi kabhi to Tang sako
kisi diwal pe ek aisi kil bhi rakkho
baDe maze ki sawari hai dil ka ye TaTTu
lagam kas ke rakho aur Dhil bhi rakkho
ghamon ki sohbaten achchhi na fasle achchhe
inhen hisar mein rakkho fasil bhi rakkho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.