rakho wo shewa na madd-e-nazar nazar mein rahe
rakho wo shewa na madd-e-nazar nazar mein rahe
Qurban Ali Salik Beg
MORE BYQurban Ali Salik Beg
rakho vo sheva na madd-e-nazar nazar meñ rahe
ki jis se rāz-e-mohabbat bashar bashar meñ rahe
chaman jo ban ke tirā rahguzar guzar meñ rahe
to naḳhl-e-tūr kā jalva shajar shajar meñ rahe
aziiz tar hai agar ho sarishk meñ tāsīr
latīf-tar hai jo āb-e-guhar guhar meñ rahe
udhar tamām kiyā āsmāñ ne apnā kaam
idhar phañse hue ahl-e-hunar hunar meñ rahe
vufūr-e-ġham se ye jī meñ hai roiye is tarah
na dil meñ haal na ḳhūn-e-jigar jigar meñ rahe
burī ḳhabar ho to is tarah nāma-bar kahnā
ki sidq-o-kizb kā shak be-ḳhabar ḳhabar meñ rahe
samajh ke ishq kar ai dil ki kyā nahīñ ma.alūm
jo sochte nahīñ naf-o-zarar zarar meñ rahe
uThāo qabr meñ bhī lazzat-e-ḳhalish tā-hashr
ḳhudā kare ki ḳhadañg-e-jigar jigar meñ rahe
vafā hamārī sitam aap ke kuchh aise hoñ
ki muddatoñ yahī charchā bashar bashar meñ rahe
shab-e-firāq milī tīra-rozgārī meñ
sahar guzar ga.ī aur ham sahar meñ rahe
ham un kī bazm meñ baiThe rahe va-lekin yuuñ
ki jaise rahrav-e-rāh-e-ḳhatar ḳhatar meñ rahe
khiche jo siine se naala to chāhiye ai dil
misāl-e-ma.anī-e-lafz-e-asar asar meñ rahe
shab-e-visāl kī yārab na raushnī kam ho
vo nūr-e-āriz-e-rashk-e-qamar qamar meñ rahe
tamīz ġham ko diyā thā falak ne aish itnā
ki jaise jalva-e-rañg-e-sharar sharar meñ rahe
hamāre qatl ko lo nāzukī se pahle salāh
abhī to ḳhanjar-e-zeb-e-kamar kamar meñ rahe
adā-e-sharm meñ lākhoñ ishāre haiñ 'sālik'
jhukī huī ye kisī kī nazar nazar meñ rahe
rakho wo shewa na madd-e-nazar nazar mein rahe
ki jis se raaz-e-mohabbat bashar bashar mein rahe
chaman jo ban ke tera rahguzar guzar mein rahe
to naKHl-e-tur ka jalwa shajar shajar mein rahe
aziz tar hai agar ho sarishk mein tasir
latif-tar hai jo aab-e-guhar guhar mein rahe
udhar tamam kiya aasman ne apna kaam
idhar phanse hue ahl-e-hunar hunar mein rahe
wufur-e-gham se ye ji mein hai roiye is tarah
na dil mein haal na KHun-e-jigar jigar mein rahe
buri KHabar ho to is tarah nama-bar kahna
ki sidq-o-kizb ka shak be-KHabar KHabar mein rahe
samajh ke ishq kar ai dil ki kya nahin malum
jo sochte nahin naf-o-zarar zarar mein rahe
uThao qabr mein bhi lazzat-e-KHalish ta-hashr
KHuda kare ki KHadang-e-jigar jigar mein rahe
wafa hamari sitam aap ke kuchh aise hon
ki muddaton yahi charcha bashar bashar mein rahe
shab-e-firaq mili tira-rozgari mein
sahar guzar gai aur hum sahar mein rahe
hum un ki bazm mein baiThe rahe wa-lekin yun
ki jaise rahraw-e-rah-e-KHatar KHatar mein rahe
khiche jo sine se nala to chahiye ai dil
misal-e-mani-e-lafz-e-asar asar mein rahe
shab-e-visal ki yarab na raushni kam ho
wo nur-e-ariz-e-rashk-e-qamar qamar mein rahe
tamiz gham ko diya tha falak ne aish itna
ki jaise jalwa-e-rang-e-sharar sharar mein rahe
hamare qatl ko lo nazuki se pahle salah
abhi to KHanjar-e-zeb-e-kamar kamar mein rahe
ada-e-sharm mein lakhon ishaare hain 'salik'
jhuki hui ye kisi ki nazar nazar mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.