raKHt-e-safar yunhi to na bekar le chalo
raḳht-e-safar yūñhī to na bekār le chalo
rasta hai dhuup kā koī dīvār le chalo
tāqat nahīñ zabāñ meñ to likh hī lo dil kī baat
koī to saath sūrat-e-iz.hār le chalo
dekhūñ to vo badal ke bhalā kaisā ho gayā
mujh ko bhī us ke sāmne is baar le chalo
kab tak nadī kī tah meñ utāroge kashtiyāñ
ab ke to haath meñ koī patvār le chalo
paḌtī haiñ dil pe ġham kī agar silvaTeñ to kyā
chehre pe to ḳhushī ke kuchh āsār le chalo
jitne bhañvar kahoge pahan lūñgā jism par
ik baar to nadī ke mujhe paar le chalo
kuchh bhī nahīñ agar to hathelī pe jaañ sahī
tohfa koī to us ke liye yaar le chalo
raKHt-e-safar yunhi to na bekar le chalo
rasta hai dhup ka koi diwar le chalo
taqat nahin zaban mein to likh hi lo dil ki baat
koi to sath surat-e-izhaar le chalo
dekhun to wo badal ke bhala kaisa ho gaya
mujh ko bhi us ke samne is bar le chalo
kab tak nadi ki tah mein utaroge kashtiyan
ab ke to hath mein koi patwar le chalo
paDti hain dil pe gham ki agar silwaTen to kya
chehre pe to KHushi ke kuchh aasar le chalo
jitne bhanwar kahoge pahan lunga jism par
ek bar to nadi ke mujhe par le chalo
kuchh bhi nahin agar to hatheli pe jaan sahi
tohfa koi to us ke liye yar le chalo
- Book : Dastavez (Pg. 75)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.