rakkhe charagh taq pe sare bujhe hue
rakkhe charāġh taaq pe saare bujhe hue
phir bhī havā ke saath mire mā'rke hue
pahle-pahal to us se faqat guftugū huī
aur phir ta'alluqāt bhī achchhe bhale hue
ik din hamārī lau ne charāġhoñ ko maat dī
lagte haiñ aap Thiik usī din se jale hue
us ne kahā thā aaj vo aa.egā lāziman
murjhā ga.e haiñ phuul galī tak bichhe hue
rakkhe charagh taq pe sare bujhe hue
phir bhi hawa ke sath mere ma'rke hue
pahle-pahal to us se faqat guftugu hui
aur phir ta'alluqat bhi achchhe bhale hue
ek din hamari lau ne charaghon ko mat di
lagte hain aap Thik usi din se jale hue
us ne kaha tha aaj wo aaega laziman
murjha gae hain phul gali tak bichhe hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.