ramz-ashna-e-fasl-e-bahaaran koi na tha
ramz-āshna-e-fasl-e-bahārañ koī na thā
sab mudda.ī the chāk-garebāñ koī na thā
dīvāne dasht meñ bhī nasīb aazmā chuke
vaañ bhī sukūn-e-qalb kā sāmāñ koī na thā
kyā kyā tire marīz ko the naaz dard par
jab bas meñ chāragar ke bhī darmāñ koī na thā
shāyad ye kā.enāt thī mai-ḳhāna in dinoñ
jab imtiyāz-e-gabr-o-musalmāñ koī na thā
ghabrā ke kis ko raah meñ ai 'dil' pukārte
apne sivā qarīb-e-rag-e-jāñ koī na thā
ramz-ashna-e-fasl-e-bahaaran koi na tha
sab muddai the chaak-gareban koi na tha
diwane dasht mein bhi nasib aazma chuke
wan bhi sukun-e-qalb ka saman koi na tha
kya kya tere mariz ko the naz dard par
jab bas mein chaaragar ke bhi darman koi na tha
shayad ye kaenat thi mai-KHana in dinon
jab imtiyaz-e-gabr-o-musalman koi na tha
ghabra ke kis ko rah mein ai 'dil' pukarte
apne siwa qarib-e-rag-e-jaan koi na tha
- Book : Aaina-e-Dil (Pg. 31)
- Author : Dil Ayubi
- Publication : Nazish Book Center Lahore (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.