ramz-e-hayat aalam-e-fani mein kho gaya
ramz-e-hayāt ālam-e-fānī meñ kho gayā
merā vajūd naql-e-makānī meñ kho gayā
kyā jaane kyā kashish thī tumhāre kalām meñ
jis ne sunā vo lafz-o-ma.ānī meñ kho gayā
jo duur tak nahīñ the vahī ab haiñ sāmne
kirdār merā us kī kahānī meñ kho gayā
dariyā se bhī kahīñ koī sailāb jab uThā
vo bhī in āñsuoñ kī ravānī meñ kho gayā
jo kuchh kahā nazar ne nazar se sune vo kaun
har shaḳhs guftugū-e-lisānī meñ kho gayā
duniyā-e-ilm-o-fan meñ jo hāsil thā kal use
saarā kamāl charb-zabānī meñ kho gayā
ehsās phir za.īfī meñ 'rahbar' huā unheñ
lutf-e-hayāt jin kā javānī meñ kho gayā
ramz-e-hayat aalam-e-fani mein kho gaya
mera wajud naql-e-makani mein kho gaya
kya jaane kya kashish thi tumhaare kalam mein
jis ne suna wo lafz-o-maani mein kho gaya
jo dur tak nahin the wahi ab hain samne
kirdar mera us ki kahani mein kho gaya
dariya se bhi kahin koi sailab jab uTha
wo bhi in aansuon ki rawani mein kho gaya
jo kuchh kaha nazar ne nazar se sune wo kaun
har shaKHs guftugu-e-lisani mein kho gaya
duniya-e-ilm-o-fan mein jo hasil tha kal use
sara kamal charb-zabani mein kho gaya
ehsas phir zaifi mein 'rahbar' hua unhen
lutf-e-hayat jin ka jawani mein kho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.