rang bharte ja rahe hain rafta rafta
rañg bharte jā rahe haiñ rafta rafta
gul nikharte jā rahe haiñ rafta rafta
ahd-e-barnā.ī ke ye aurāq-e-rañgīñ
kyuuñ bikharte jā rahe haiñ rafta rafta
sīḌhiyāñ shīshe kī paañv sañg ke haiñ
ham utarte jā rahe haiñ rafta rafta
ab to ham aḳhbār meñ chhapne lage haiñ
naam karte jā rahe haiñ rafta rafta
rahguzār-e-shauq hai ye ziist jis se
ham guzarte jā rahe haiñ rafta rafta
rang bharte ja rahe hain rafta rafta
gul nikharte ja rahe hain rafta rafta
ahd-e-barnai ke ye auraq-e-rangin
kyun bikharte ja rahe hain rafta rafta
siDhiyan shishe ki panw sang ke hain
hum utarte ja rahe hain rafta rafta
ab to hum aKHbar mein chhapne lage hain
nam karte ja rahe hain rafta rafta
rahguzar-e-shauq hai ye zist jis se
hum guzarte ja rahe hain rafta rafta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.