rang birange sapnon jaisi aankhen teri
rañg birañge sapnoñ jaisī āñkheñ terī
shaam kī pahlī kirnoñ jaisī āñkheñ terī
sub.h kī bhīgī ḳhushbū rañgat chehra terā
dīvālī kī rātoñ jaisī āñkheñ terī
mahkātī haiñ jugnū ban kar manzar saarā
mere dil ke sajdoñ jaisī āñkheñ terī
husn-e-tabassum terī nazroñ kī har dhaḌkan
brindavan kī shāmoñ jaisī āñkheñ terī
naġhma ban kar chhā jaatī haiñ 'sājid' dil par
vasl kī raushan lamhoñ jaisī āñkheñ terī
rang birange sapnon jaisi aankhen teri
sham ki pahli kirnon jaisi aankhen teri
subh ki bhigi KHushbu rangat chehra tera
diwali ki raaton jaisi aankhen teri
mahkati hain jugnu ban kar manzar sara
mere dil ke sajdon jaisi aankhen teri
husn-e-tabassum teri nazron ki har dhaDkan
brindawan ki shamon jaisi aankhen teri
naghma ban kar chha jati hain 'sajid' dil par
wasl ki raushan lamhon jaisi aankhen teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.